Friday, October 19, 2007

Paimaana

dil chahta to hai aasmaan ko chhuna.,
magar man dartaa hai unchaaiyon se
talashta rahata hai uchaaniyo ka paimana...
kya main man ko wo paimana bata paaunga?
tumne mujhe uchhaiyon ka paimana bata bhi diya
to kya main mujhe un unchaaiyon tak pahuchaa paunga...?

Dil chahataa hai kitaabon se baatein karna
partantu man doondhta rahtaa hai paimaana ghyaan ka 
mano tumne mujhe paimaana bataa diyaa
aur ghyaan ka paath bhi padha diya
magar kya main us ghyaan ko gahare utaar paunga...?

No comments: