
Is Diwali
gifts ki dher me
Patakho ke shor me
Maine dekha chup khada diya
Giftbaazi ki Hod me
Maine dekha sisakataa diya
Gaawn ke diyo ki ladi se door
Metro ki chakaachaund me
Maine dekhe ek do Lehakte diye
Chinese lights ki oar me
Rangeen bazaar aur kharidadaaro ke bich
Maine dekha Ignored diya
Aur chup baitha diyewala
Andhere pe ujale ka pramaan diya
Naye ritu ke aagman sandesh ka diya
Waataawaran ke sudhi ka pratik diya
Maa lakshmi ke shrdha ki pehchaan diya
Is Diwali
ek metro me maine dekha
Apekshit diya, fafaktaa diya
Sisaktaa diya, gumshum diya
Gumnaam hota diya
Aur who chup baitha diye wala !
3 comments:
एक अच्छी कविता, लेकिन इसे हिन्दी में लिखो और कुछ शब्द कई बार आकर कविता की सुंदरता को बिगाङ रहे हैं, उसे थोङा कम करो|
दिया की पीड़ा बहुत सुंदर अभिव्यक्ति
Achcha likhte hain aap.Mere blog par aane ke liye shukriya.
Post a Comment